Qazi Hasan Raza

nafrat ke sath pyar ki miThi tarang hai

Qazi Hasan Raza

nafrat ke saath pyaar kī mīThī tarañg hai
māñjhā hai kāT-dār rañgīlī patañg hai
sūraj kī ik kiran ko tarastā hai lafz lafz
merī ġhazal ke chehre pe rātoñ kā rañg hai
zarre kī āb-o-tāb kā pechīda kārobār
jis kī jhalak ko dekh ke sūraj bhī tañg hai
mere ḳhulūs ke liye us meñ jagah kahāñ
dil us kā qabr kī tarah tārīk-o-tañg hai
hotī hai kis kī jiit 'razā' dekhte raho
mauj-e-ġhazab kī aaj kināre se jañg hai
Top Urdushayar.com