mujhe āzād kar do nā sabhī pur-soz nāloñ se
mirī ai ḳham-zada qismat dukhoñ kī saḳht chāloñ se
kahāñ se sabr laa.eñ ham kahāñ ab aur jaa.eñ ham
bahut hī zaḳhm paa.e haiñ are in husn vāloñ se
kisī ko soch kar kaise kisī kī soch se nikleñ
bahut bechain rahte haiñ ka.ī aise savāloñ se
ye ham se rūThne vaale manā.e ab nahīñ jaate
bahut uktā ga.e haiñ ham manāne ke ḳhayāloñ se
ḳhudā kā ḳhauf khaao kuchh Daro us zaat se logo
mujhe ab mat satāo nit-na.ī gahrī ye chāloñ se
koī nā-mehrbāñ jab hai banegā mehrbāñ kaise
isī uljhan meñ uljhe haiñ guzishta aaTh sāloñ se
kisī kā kore kāġhaz par banāyā aks thā 'kāshif'
ki ḳhushbū ab bhī uThtī hai usī ke kaale bāloñ se