zarā be-iḳhtiyār rahne de
merā dil be-qarār rahne de
chhoḌ de apne haal par mujh ko
na satā ab ke yaar rahne de
soz kuchh din mazīd dil meñ rahe
tiir nazroñ kā paar rahne de
bevafā huuñ vafā na kar paayā
kuchh hī din sharmsār rahne de
na duā de na hī davā de bas
ishq kā ye buḳhār rahne de
pyaar jo maañg kar liyā tujh se
haañ vahī bas udhār rahne de
zaḳhm bharne meñ vaqt lagtā hai
dard ke aur vaar rahne de
haal mat pūchh mujh se tū 'kāshif'
dil pe chhāyā ġhubār rahne de