bhuul jā.ūñgā pyaar maazī kā
thā jo dār-o-madār maazī kā
zehn par hai savār maazī kā
tazkira baar baar maazī kā
be-qarār ab huuñ haal meñ filhāl
ḳhuub hī thā qarār maazī kā
toḌ kar joḌ kar bhī dekhā hai
saḳht hai par hisār maazī kā
mujhe rah rah ke yaad aatā hai
vahī mausam bahār maazī kā
us ke hāthoñ se bikhre to sochā
yaar behtar thā yaar maazī kā
laakh ranjish sahī magar 'kāshif'
us pe hai e'tibār maazī kā