Ibn-e-Mufti

humse milte the sitare aap ke

Ibn-e-Mufti

ham se milte the sitāre aap ke
phir bhī kho baiThe sahāre aap ke
kaisā jaadū hai samajh aatā nahīñ
niiñd merī ḳhvāb saare aap ke
ham se shāyad mo'tabar Thahrī sabā
jis ne ye gesū sañvāre aap ke
aap kī nazar-e-karam ke muntazir
kab se baiThe haiñ dvāre aap ke
koī us kī aañkh ko bhā.egā kyuuñ
jis ne dekhe hoñ nazāre aap ke
bin tire sāñseñ bhī ab chaltī nahīñ
har ghaḌī chāheñ, ishāre aap ke
muskurā kar dekhiye to ek baar
kahkashāñ, ye chāñd taare aap ke
jhuuT hai 'muftī' bhulā baiThe ho sab
kyuuñ the palkoñ par sitāre aap ke
Top Urdushayar.com