dil vahī ashk-bār rahtā hai
ġham se jo ham-kanār rahtā hai
maiñ ne dekhā ḳhirad ke kāñdhoñ par
ik junūñ sā savār rahtā hai
lab tabassum meñ ho ga.e mashshāq
dil magar sogvār rahtā hai
ek lamhe bhī soch luuñ un ko
muddatoñ ik ḳhumār rahtā hai
dil rahe be-kalī ke ghere meñ
zehn pe tū savār rahtā hai
tere ḳhvāboñ kī lat lagī jab se
raat kā intizār rahtā hai
sach ke dhāge se jo bane rishta
umr bhar ustuvār rahtā hai
tere dil ne bhī paḌh liyā kalma
jis meñ ye gunahgār rahtā hai
jab se joḌā hai aap se rishta
dāman-e-tār, taar rahtā hai
vo tasavvur meñ ik ghaḌī aa.eñ
der tak dil bahār rahtā hai
chāñd se is liye hai pyaar mujhe
ye bhī yāroñ kā yaar rahtā hai
ghar meñ aate hī mah-jabīñ ne kahā
yaañ to aḳhtar shumār rahtā hai
ab to kar Dāliye vafā us ko
vo jo va.ada udhār rahtā hai
ik taraf gardisheñ zamāne kī
ik taraf terā pyaar rahtā hai
tire dar se juḌā huā muflis
ishq meñ māl-dār rahtā hai
maañ ne de dī duā to hashr talak
us kā bāñdhā hisār rahtā hai
dil meñ sajde kiyā karo 'muftī'
is meñ parvardigār rahtā hai