Aslam Azad

bas ek bar use raushni mein dekha tha

Aslam Azad

bas ek baar use raushnī meñ dekhā thā
phir is ke ba.ad añdherā bahut añdherā thā
vo haal kā nahīñ maazī kā koī qissa thā
jab apne-āp meñ maiñ TuuT kar bikhartā thā
na manziloñ kī talab meñ lahū lahū the badan
na rāstoñ ke liye koī aah bhartā thā
vo mujh ko sauñp gayā manziloñ kī mahrūmī
jo har qadam pe mire saath saath chaltā thā
na dasht o dar se alag thā na jañgaloñ se judā
vo apne shahr meñ rahtā thā phir bhī tanhā thā
Top Urdushayar.com