phir se vo lauT kar nahīñ aayā
phir duā meñ asar nahīñ aayā
chain aa.egā kaise aaj kī shab
taare nikle, qamar nahīñ aayā
likhte dekhā thā ḳhvāb meñ un ko
ab talak nāma-bar nahīñ aayā
mere marne pe aayā saarā jahāñ
jo thā ik bā-ḳhabar nahīñ aayā
chal basī maañ liye khulī āñkheñ
us kaa, nūr-e-nazar nahīñ aayā
yuuñ to patthar bahut se dekhe haiñ
koī tum sā nazar nahīñ aayā
shaam Dhalne lagī hai ab 'muftī'
sub.h kā bhūlā ghar nahīñ aayā