Ibn-e-Mufti

shauq jab bhi bandagi ka rahnuma hota nahin

Ibn-e-Mufti

shauq jab bhī bandagī kā rahnumā hotā nahīñ
zindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
kyā samajh ā.eñgī tum ko ishq kī bārīkiyāñ
dil tumhārā jab talak dard-āshnā hotā nahīñ
ruuh o tan kā ishq ye qaa.em rahegā dā.imī
ḳhatm ba.ad-e-marg bhī ye silsila hotā nahīñ
kaun hai jo jurm karne ko hai shab kā muntazir
raushnī meñ din kī yaaro kyā bhalā hotā nahīñ
ġhāliban hotā mujhe bhī ghar ke girne kā gila
rāhgīroñ kā agar ye rāsta hotā nahīñ
bad-gumānī kī fazā meñ kyā safā.ī deñ tumheñ
is fazā meñ koī bhī hal mas.ala hotā nahīñ
ik zarā sī baat pe ye muñh banānā rūThnā
is tarah to koī apnoñ se ḳhafā hotā nahīñ
koī gustāḳhī to kī hai naav ne girdāb se
varna yuuñ sāhil pe koī ġham-zada hotā nahīñ
kamra-e-taqdīr meñ aatī urūs-e-ārzū
vaqt-e-nā-hanjār kā jo faisla hotā nahīñ
aañkh se piine kā bhī saaqī ne māñgā hai hisāb
is ravish se yaaro koī mai-kada hotā nahīñ
'muftī' dekho mahr palTā hai mirī taqdīr kā
dekhte haiñ kis tarah sajda adā hotā nahīñ
Top Urdushayar.com