kar burā to bhalā nahīñ hotā
kar bhalā to burā nahīñ hotā
ik vahī lāpata nahīñ hotā
jis ko apnā patā nahīñ hotā
sab nishāne agar sahīh hote
tiir koī ḳhatā nahīñ hotā
kaun āshiq hai kaun hai ma.ashūq
pyaar meñ faisla nahīñ hotā
koī aisī jagah hī dikhlāo
jis jagah par ḳhudā nahīñ hotā
kūcha-e-yār jo na jaatā ho
rāsta rāsta nahīñ hotā
kāmyābī ke rāstoñ kī taraf
biich kā rāstā nahīñ hotā
saarī duniyā to ho ga.ī merī
ik faqat tū mirā nahīñ hotā
dil nazar par agar nazar rakhte
pyaar kā hādsa nahīñ hotā
jab talak tū na ho ḳhayāloñ meñ
koī sajda ravā nahīñ hotā
us kī maḳhmūr aañkh ke aage
mai-kada mai-kada nahīñ hotā
koshisheñ ḳhud hī karnā paḌtī haiñ
bhiiḌ meñ rāsta nahīñ hotā
ek arsa huā ki niiñd se bhī
āmnā-sāmnā nahīñ hotā
pyaar ho jaa.e kab kahāñ kis se
ye kisī ko patā nahīñ hotā
ham ne dekhā hai rū-ba-rū un ke
ā.īna ā.īna nahīñ hotā
sadqa ḳhairāt kījiye sāhab
muskurānā burā nahīñ hotā
kyā karāmat bhī ab nahīñ hogī
maanā ab mo.ajaza nahīñ hotā
haath mushkil meñ chhoḌ jaate ho
ye to phir thāmnā nahīñ hotā
pahle nazreñ aTuuT thiiñ aur ab
haath dil se judā nahīñ hotā
'muftī' ham hī bhañvar-nasīb rahe
varna sāhil pe kyā nahīñ hotā