jagmagātī ḳhvāhishoñ kā nuur phailā raat bhar
sehn-e-dil meñ vo gul-e-mahtāb bikhrā raat bhar
ek bhūlā vāqi.a jab daf.atan yaad aa gayā
ātish-e-zauq-e-talab ne phir jalāyā raat bhar
dostoñ ke saath din meñ baiTh kar hañstā rahā
apne kamre meñ vo jā kar ḳhuub royā raat bhar
niiñd ke sahrā meñ paanī kī tarah gum ho gayā
maiñ ne us ko ḳhvāb meñ har samt DhūñDā raat bhar
dhuup ke bādal baras kar jā chuke the aur maiñ
oḌh kar shabnam kī chādar chhat pe soyā raat bhar
niiñd kī komal fasīleñ āñdhiyoñ meñ bah ga.iiñ
maiñ ne apne ḳhvāb kī lāshoñ ko Dhoyā raat bhar
narm bistar par shikan kī kirchiyāñ bikhrī rahīñ
maiñ ne 'aslam' ik ajab sā ḳhvāb dekhā raat bhar