Shaukat Pardesi

zindagi ka safar KHatm hota raha tum mujhe dam-ba-dam yaad aate rahe

Shaukat Pardesi

Malaysia

1924-1995
zindagī kā safar ḳhatm hotā rahā tum mujhe dam-ba-dam yaad aate rahe
merī vīrān palkoñ pe din Dhalte hī kuchh sitāre magar jagmagāte rahe
luT ga.ī zindagī bujh ga.e diip bhī duur tak phir na baaqī rahī raushnī
is añdhere meñ bhī ham tirī yaad se apnī vīrān mahfil sajāte rahe
tum se bichhḌe hue ek muddat huī din guzartā rahā vaqt Taltā rahā
shaam aatī rahī dil dhaḌaktā rahā ham charāġh-e-mohabbat jalāte rahe
ek tum hī na the varna har chiiz thī chāñd ke saath thī raat kī dil-kashī
saaz bajtā rahā lai ubhartī rahī raqs hotā rahā log gaate rahe
yuuñ na koī jiye jis tarah ham jiye zindagī bhar kisī ko na apnā sake
bevafā.ī mirā dil jalātī rahī pyaar ke naam par choT khāte rahe
Top Urdushayar.com