hausle kī kamī se Dartā huuñ
duur kī raushnī se Dartā huuñ
dekh kar bastiyoñ kī vīrānī
ab to har aadmī se Dartā huuñ
aql tāroñ ko chhū ke aatī hai
aur maiñ chāñdnī se Dartā huuñ
pahle Dartā thā tīrgī se maiñ
aur ab raushnī se Dartā huuñ
merī bechārgī to ye bhī hai
aap kī dostī se Dartā huuñ
ye bhī ik phāñs bin na jaa.e kahīñ
ġham kī āsūdgī se Dartā huuñ
terī zulfoñ kī chhāñv meñ rah kar
aane vaalī ḳhushī se Dartā huuñ
tum to tark-e-vafā bhī kar loge
aur meñ us ghaḌī se Dartā huuñ
be-ġharaz kaun hai ki ai 'shaukat'
maiñ ye kah duuñ usī se Dartā huuñ