Shaukat Pardesi

shuur-e-kaif-o-KHushi hai zara Thahr jao

Shaukat Pardesi

Malaysia

1924-1995
shu.ūr-e-kaif-o-ḳhushī hai zarā Thahr jaao
vufūr-e-ġham meñ kamī hai zarā Thahar jaao
natīja johd-e-musalsal kā aage kyā hogā
mahall-e-fikr yahī hai zarā Thahar jaao
kashākash-e-ġham-e-daurāñ meñ zinda rahne kī
tumhī se daad milī hai zarā Thahar jaao
ye baat tum se koī aur kah nahīñ saktā
ye baat dil ne kahī hai zarā Thahar jaao
tumhāre jaane ke ehsās ne jo baḳhshā hai
vo zaḳhm taaza abhī hai zarā Thahar jaao
ye raat sirf mah-o-kahkashāñ kī raat nahīñ
ye raat tum se sajī hai zarā Thahar jaao
zabāñ kalām kī lazzat se kyuuñ rahe mahrūm
nazar nazar se milī hai zarā Thahar jaao
phir ab na tum se jo ham mil sake to kyā hogā
hayāt soch rahī hai zarā Thahar jaao
chaman se duur nasheman kī fikr kyā ki abhī
taḌap ke barq girī hai zarā Thahar jaao
tilism-e-aish tumhārī qasam nahīñ TuuTā
fareb-e-ḳhvāb vahī hai zarā Thahar jaao
ilāj-e-gardish-e-ayyām ke liye 'shaukat'
tamām umr paḌī hai zarā Thahar jaao
Top Urdushayar.com