mere mahbūb mire dil ko jalāyā na karo
saaz chheḌā na karo giit sunāyā na karo
jaao ābād karo apnī tamannāoñ ko
mujh ko mahfil kā tamāshā.ī banāyā na karo
merī rāhoñ meñ jo kāñTe haiñ to kyuuñ phuul mileñ
mere dāman ko ulajhne do chhuḌāyā na karo
tum ne achchhā hī kiyā saath hamārā na diyā
bujh chuke haiñ jo diye un ko jalāyā na karo
mere jaisā koī pāgal na kahīñ mil jaa.e
tum kisī moḌ pe tanhā kabhī jaayā na karo
ye to duniyā hai sabhī qism ke haiñ log yahāñ
har kisī ke liye tum aañkh bichhāyā na karo
zahr-e-ġham pī ke bhī kuchh log jiyā karte haiñ
un ko chheḌā na karo un ko satāyā na karo