Aslam Azad

kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin

Aslam Azad

kisht-e-dil vīrāñ sahī tuḳhm-e-havas boyā nahīñ
ḳhvāhishoñ kā bojh maiñ ne aaj tak Dhoyā nahīñ
us kī ā.ankhoñ meñ bichhā hai surḳh tahrīroñ kā jaal
aisā lagtā hai ki ik muddat se vo soyā nahīñ
ḳhvāb kī anjān khiḌkī meñ nazar aayā thā jo
zehn ne us chehra-e-mānūs ko khoyā nahīñ
ek muddat par mile bhī to na milne kī tarah
is tarah ḳhāmosh ho muñh meñ zabāñ goyā nahīñ
maiñ ne apnī ḳhvāhishoñ kā qatl ḳhud hī kar diyā
haath ḳhūn-ālūd haiñ in ko abhī dhoyā nahīñ
dekh kar hoñToñ pe mere muskurāhaT kī lakīr
vo samajhte haiñ ki 'aslam' maiñ kabhī royā nahīñ
Top Urdushayar.com