Shaukat Pardesi

gham ki andheri rahon mein to tum bhi nahin kaam aao ho

Shaukat Pardesi

Malaysia

1924-1995
ġham kī añdherī rāhoñ meñ to tum bhī nahīñ kaam aao ho
kyuuñ be-kār karo ho hujjat aage baat baḌhāo ho
kyuuñ tham tham kar qadam rakho ho kyuuñ itnā ghabrāo ho
raat kā sannāTā hai maiñ huuñ tum kis se sharmāo ho
aao apne haath meñ le kar haath hamārā dekho to
ham ne sunā hai tum sab kī qismat kā haal batāo ho
pahle pahar jab aa na sake tum āḳhir-e-shab kī fikr hī kyā
ab to dil hī sulag uTThā hai ab kyuuñ diyā jalāo ho
ik dastūr sahī duniyā kā zaḳhmoñ par lafzoñ kā Dher
ai logo kuchh samjho bhī ho jo mujh ko samjhāo ho
shaam nahīñ Dhaltī kisī sūrat raat nahīñ kaTtī kisī taur
ab to bahut dil ghabrā.e hai ab to bahut yaad aao ho
haiñ ahbāb bhī ik sarmāya lekin ye bhī yaad rahe
utnī hī aañch lagegī 'shaukat' jitnā tez alaav ho
Top Urdushayar.com