mujh ko jahāñ meñ koī dil-ārā nahīñ milā
maiñ ḳhud bhī apne ġham kā shanāsā nahīñ milā
apnī talab ke apnī ġharaz ke mile haiñ log
merī talab ko dekhne vaalā nahīñ milā
phirtā rahā huuñ kū-e-vafā meñ tamām umr
lekin kahīñ bhī koī shanāsā nahīñ milā
mere uyuub par rahī har shaḳhs kī nigāh
koī hunar ko dekhne vaalā nahīñ milā
ḳhanjar-ba-kaf to log mile har jagah magar
marham-ba-dast koī masīhā nahīñ milā
ye bhī huā ki maiñ ne jo sochā nahīñ huā
ye bhī huā ki dil ne jo chāhā nahīñ milā
milne ga.e the raat ko 'shaukat' se ham magar
thā vo hujūm-e-fikr meñ tanhā nahīñ milā