haañ nahīñ ke biich dhundlā.ī sī shaam
saa.e saa.e meñ hai shabnam sā qayām
chehre āñkheñ hoñT hañste haiñ tamām
bastī bastī tohmat-e-āvāra-gām
raushnī kī bāzyābī āftāb
TūTne vaale sitāre terā naam
harf-o-lab mālūm samtoñ ke naqīb
dil safīr-e-nā-gahāñ samt-e-kalām
kā.ināt-e-lams maujūd-o-adam
kuchh na honā bhī huā itnā tamām