Aslam Azad

koi diwar salamat hai na ab chhat meri

Aslam Azad

koī dīvār salāmat hai na ab chhat merī
ḳhāna-e-ḳhasta kī sūrat huī hālat merī
mere sajdoñ se munavvar hai tirī rāhguzar
merī peshānī pe raushan hai sadāqat merī
aur kuchh der yūñhī mujh ko taḌapne dete
aap ne chhīn lī kyuuñ hijr kī lazzat merī
ye alag baat ki maiñ fāteh-e-āzam Thahrā
varna hotī rahī har gaam hazīmat merī
maiñ ne har lamha na.ī jast lagā.ī 'aslam'
mujh se vābasta rahī phir bhī rivāyat merī
Top Urdushayar.com