kahīñ pe qurb kī lazzat kā iqtibās nahīñ
tire ḳhayāl kī ḳhushbū bhī ās-pās nahīñ
hazār baar nigāhoñ se chuum kar dekhā
laboñ pe us ke vo pahlī sī ab miThās nahīñ
sajā ke botaleñ Table pe muntazir hoñ magar
qarīb o duur nigāhoñ ke vo gilās nahīñ
samundaroñ kā ye namkīn paanī kaise piyūñ
piyāsā huuñ magar itnī ziyāda pyaas nahīñ
ye aur baat ki mujh se bichhaḌ ke ḳhush hai magar
vo kaise kah de ki maiñ in dinoñ udaas nahīñ
tumhāre kapḌe kahīñ gard meñ na aT jaa.eñ
ye ḳhushk pattoñ kā bistar hai sabz ghaas nahīñ
bujhī bujhī sahī ye dhuup kam nahīñ 'aslam'
ab is ke ba.ad kisī raushnī kī aas nahīñ