dil ko rahīn-e-lazzat-e-darmāñ na kar sake
ham un se bhī shikāyat-e-hijrāñ na kar sake
is tarah phūñk merā gulistān-e-ārzū
phir koī tere ba.ad ise vīrāñ na kar sake
mahñgī thī is qadar tire jalvoñ kī raushnī
ham apnī ek shaam firozāñ na kar sake
bichhḌe rahe to aur bhī rusvā kareñge log
tum bhī ilāj-e-gardish-e-daurāñ na kar sake
dil un ke haath se bhī gayā ham se bhī gayā
shāyad vo pās-e-ḳhātir-e-mehmāñ na kar sake
un par bhī āshkār ho kyuuñ apne dil kā haal
ham is matā-e-dard ko arzāñ na kar sake
'āzam' hazār baar luTe rāh-e-ishq meñ
lekin kabhī shikāyat-e-daurāñ na kar sake