Saima Ishaq

tumne jo manfat se KHasara badal diya

Saima Ishaq

tum ne jo manfa.at se ḳhasāra badal diyā
ham ne mufāhamat kā irāda badal diyā
ai bevafā hayāt tirī gardishoñ kī ḳhair
tū ne bhī kaisā vaqt sunahrā badal diyā
koī to vārdāt huī hai jī us ke saath
kuchh to hai jis ne ye dil-e-sāda badal diyā
go jītnā hamārī baqā kā savāl thā
lekin bisāt-e-vaqt ne mohara badal diyā
pahle to ziist karne kī himmat thī āhanī
kam-mā.egī thī jis ne irāda badal diyā
mafhūm jaan lene se qāsir nahīñ haiñ ham
to kyā huā ki aap ne fiqra badal diyā
ye raushnī kā aadī rahā hai tamām umr
tārīkiyoñ ne shahr kā naqsha badal diyā
apnī tarah ke ek hī haiñ aap bhī janāb
jab ham badal ga.e to irāda badal diyā
ye ishq hī kā vasf rahā hai ki 'sā.ima'
dil pe chaḌhā thā rañg jo gahrā badal diyā
Top Urdushayar.com