bazm se apnī jo is tarah uThā dete haiñ
jaane kis jurm kī ye log sazā dete haiñ
maiñ ne sochā thā tirā ġham hī mujhe kaafī hai
log aate haiñ mujhe aa ke hañsā dete haiñ
ġhair to ġhair haiñ apnoñ kī ye hālat dekhī
jin pe takiya kiyā vo log daġhā dete haiñ
ġham se ghabrā ke kabhī lab pe jo aatī hai hañsī
vo tasavvur meñ mujhe aa ke rulā dete haiñ
ahl-e-dil ko to yahī kahte sunā hai ai 'faiz'
apne bīmār ko dāman kī havā dete haiñ