Dilawar Ali Aazar

darun-e-KHwab naya ek jahan nikalta hai

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
darūn-e-ḳhvāb nayā ik jahāñ nikaltā hai
zamīñ kī tah se koī āsmāñ nikaltā hai
bhalā nazar bhī vo aa.e to kis tarah aa.e
mirā sitāra pas-e-kahkashāñ nikaltā hai
havā-e-shauq ye manzil se jā ke kah denā
zarā sī der hai bas kārvāñ nikaltā hai
mirī zamīn pe sūraj ba-vaqt-e-sub.h o masā
nikal to aatā hai lekin kahāñ nikaltā hai
ye jis vajūd pe tum naaz kar rahe ho bahut
yahī vajūd bahut rā.egāñ nikaltā hai
maqām-e-vasl ik aisā maqām hai ki jahāñ
yaqīn karte haiñ jis par gumāñ nikaltā hai
badan ko chhoḌ hī jaanā hai ruuh ne 'āzar'
har ik charāġh se āḳhir dhuāñ nikaltā hai
Top Urdushayar.com