aañkh meñ ḳhvāb zamāne se alag rakkhā hai
aks ko ā.ina-ḳhāne se alag rakkhā hai
ghar meñ gul-dān sajā.e haiñ tirī aamad par
aur ik phuul bahāne se alag rakkhā hai
kuchh havā meñ bhī chalāne ke liye rakkhā jaa.e
is liye tiir nishāne se alag rakkhā hai
us ke hoñToñ ko nahīñ aañkh ko dī hai tarjīh
pyaas ko pyaas bujhāne se alag rakkhā hai
ġhair-mumkin hai kisī aur ke haath aa jaa.e
vo ḳhazāna jo ḳhazāne se alag rakkhā hai
ik havā sī kahīñ bāñdhī hai chhupāne ke liye
ik tamāshā sā lagāne se alag rakkhā hai
ḳhvāb hī ḳhvāb meñ ta.amīr kiyā hai 'āzar'
ghar ko buniyād uThāne se alag rakkhā hai