Dilawar Ali Aazar

dur ke ek nazare se nikal kar aai

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
duur ke ek nazāre se nikal kar aa.ī
raushnī mujh meñ sitāre se nikal kar aa.ī
jis ne kashtī ko Duboyā sar-o-sāmān samet
vo ghanī mauj kināre se nikal kar aa.ī
raakh jhāḌī jo badan kī to achānak bāhar
aag hī aag sharāre se nikal kar aa.ī
peḌ mab.hūt hue dekh ke is manzar ko
dhuup jab us ke ishāre se nikal kar aa.ī
aañkh meñ ashk riyāzat se huā hai paidā
ye namī vaqt ke dhāre se nikal kar aa.ī
kaun takiya kare mahtāb kī us raushnī par
sāmne bhī jo sahāre se nikal kar aa.ī
ḳhud bhī hairān huuñ ye soch ke 'āzar' ab tak
zindagī kaise ḳhasāre se nikal kar aa.ī
Top Urdushayar.com