khīñch kar aks fasāne se alag ho jaao
be-numū ā.ina-ḳhāne se alag ho jaao
saarā din saath raho saa.e kī sūrat apne
shaam hote hī bahāne se alag ho jaao
sher vo likkho jo pahle kahīñ maujūd na ho
ḳhvāb dekho to zamāne se alag ho jaao
shā.irī aise jhameloñ se bahut aage hai
is na.e aur purāne se alag ho jaao
niiñd meñ hazrat-e-yūsuf ko agar dekhā hai
ain mumkin hai gharāne se alag ho jaao
ehtirāman mire halqe meñ rahe ho shāmil
ehtimāman mire shāne se alag ho jaao
us ko tasvīr karo saf.ha-e-dil par 'āzar'
ġhaib kā naqsh banāne se alag ho jaao