Dilawar Ali Aazar

aazar raha hai tesha mere KHandan mein

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
'āzar' rahā hai tesha mire ḳhāndān meñ
paikar dikhā.ī dete haiñ mujh ko chaTān meñ
sab apne apne taaq meñ tharrā ke rah ga.e
kuchh to kahā havā ne charāġhoñ ke kaan meñ
maiñ apnī justujū meñ yahāñ tak pahuñch gayā
ab aa.ina hī rah gayā hai darmiyān meñ
manzar bhaTak rahe the dar-o-bām ke qarīb
maiñ so rahā thā ḳhvāb ke pichhle makān meñ
lazzat milī hai mujh ko aziyyat meñ is liye
ehsās khīñchnā thā badan kī kamān meñ
niklī nahīñ hai dil se mire bad-duā kabhī
rakkhe ḳhudā adū ko bhī apnī amaan meñ
'āzar' usī ko log na kahte hoñ āftāb
ik daaġh sā chamaktā hai jo āsmān meñ
Top Urdushayar.com