kab tak phiruñgā haath meñ kaasa uThā ke maiñ
jī chāhtā hai bhaag luuñ duniyā uThā ke maiñ
hotī hai niiñd meñ kahīñ tashkīl-e-ḳhadd-o-ḳhāl
uThtā huuñ apne ḳhvāb kā chehra uThā ke maiñ
ba.ad az sadā-e-kun huī taqsīm-e-hast-o-būd
phirtā thā kā.enāt akelā uThā ke maiñ
kyūñkar na sahl ho mujhe rāh-e-dayār-e-ishq
laayā huuñ dasht-e-najd kā naqsha uThā ke maiñ
baḌhne lagā thā nashsha-e-taḳhlīq-e-āb o ḳhaak
vo chaak uThā ke chal diyā kuuza uThā ke maiñ
hai sā.at-e-visāl ke malne pe munhasir
kas samt bhāgtā huuñ ye lamha uThā ke maiñ
qurbat-pasand dil kī tabī.at meñ thā tazād
ḳhush ho rahā huuñ hijr kā sadma uThā maiñ
ab mujh ko ehtimām se kiije supurd-e-ḳhāk
uktā chukā huuñ jism kā malba uThā ke maiñ
achchhā bhalā to thā tan-e-tanhā jahān meñ
pachhtā rahā huuñ ḳhalq kā beḌā uThā ke maiñ
'āzar' mujhe madīne se hijrat kā hukm thā
sahrā meñ le ke aa gayā ḳhema uThā ke maiñ