Dilawar Ali Aazar

KHud mein khilte hue manzar se numudar hua

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
ḳhud meñ khilte hue manzar se numūdār huā
vo jazīra jo samundar se numūdār huā
merī tanhā.ī ne paidā kiye saa.e ghar meñ
koī dīvār koī dar se numūdār huā
chāroñ atrāf mire aa.ine rakkhe ga.e the
maiñ hī maiñ apne barābar se numūdār huā
aaj kī raat guzārī hai diye ne mujh meñ
aaj kā din mire andar se numūdār huā
kyā ajab naqsh hai vo naqsh jo is duniyā ke
kahīñ andar kahīñ bāhar se numūdār huā
ek sho.ale kī lapak nuur meñ Dhal kar aa.ī
ek kirdār bahattar se numūdār huā
haq kī pahchān huī ḳhalq ko 'āzar' us vaqt
jab alī aap ke bistar se numūdār huā
Top Urdushayar.com