Dilawar Ali Aazar

aks manzar mein palaTne ke liye hota hai

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
aks manzar meñ palaTne ke liye hotā hai
ā.īna gard se aTne ke liye hotā hai
shaam hotī hai to hotā hai mirā dil betāb
aur ye tujh se lipaTne ke liye hotā hai
ye jo ham dekh rahe haiñ ka.ī duniyāoñ ko
aisā phailāo simaTne ke liye hotā hai
ilm jitnā bhī ho kam paḌtā hai insānoñ ko
rizq jitnā bhī ho baTne ke liye hotā hai
saa.e ko shāmil-e-qāmat na karo āḳhir-kār
baḌh bhī jaa.e to ye ghaTne ke liye hotā hai
goyā duniyā kī zarūrat nahīñ durveshoñ ko
ya.anī kashkol ulaTne ke liye hotā hai
matl-e-sub.h-e-numū saaf to hogā 'āzar'
abr chhāyā huā chhaTne ke liye hotā hai
Top Urdushayar.com