niind meñ khulte hue ḳhvāb kī uryānī par
maiñ ne bosa diyā mahtāb kī peshānī par
is qabīle meñ koī ishq se vāqif hī nahīñ
log hañste haiñ mirī chāk-girebānī par
nazar aatī hai tujh aisoñ ko shabāhat apnī
maiñ ne tasvīr banā.ī thī kabhī paanī par
ham faqīroñ ko isī ḳhaak se nisbat hai bahut
ham na baiTheñge tire taḳht-e-sulaimānī par
us se kuchh ḳhaas ta.alluq bhī nahīñ hai apnā
maiñ pareshān huā jis kī pareshānī par
paas hai lafz kī hurmat kā vagarna 'āzar'
koī tamġha to nahīñ miltā ġhazal-ḳhvānī par