aag lag jā.egī ik din mirī sarshārī ko
maiñ jo detā huuñ havā ruuh kī chiñgārī ko
varna ye log kahāñ apnī hadoñ meñ rahte
maiñ ne ma.aqūl kiyā hāshiyā-bardārī ko
ye parinde haiñ ki darvesh haiñ zindānoñ ke
kuchh samajhte hī nahīñ amr-e-giraftārī ko
ab hameñ zindagī karne meñ suhūlat dī jaa.e
khīñch laa.e haiñ yahāñ tak to girāñ-bārī ko
ek tūfān-e-balā-ḳhez ne manzar badlā
peḌ tayyār hue rasm-e-nigūñ-sārī ko
us ne vo zahr havāoñ meñ milāyā hai ki ab
koñpleñ sar na uThā.eñgī numūdārī ko
kaun khīñgā mire jism kī zanjīr 'āzar'
kaun āsān karegā mirī dushvārī ko