Dilawar Ali Aazar

yun dida-e-KHun-bar ke manzar se uTha main

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
yuuñ dīda-e-ḳhūñ-bār ke manzar se uThā maiñ
tūfān uThā mujh meñ samundar se uThā maiñ
uThne ke liye qasd kiyā maiñ ne balā kā
ab log ye kahte haiñ muqaddar se uThā maiñ
pahle to ḳhad-o-ḳhāl banā.e sar-e-qirtās
phir apne ḳhad-o-ḳhāl ke andar se uThā maiñ
ik aur tarah mujh pe khulī chashm-e-tamāshā
ik aur tajallī ke barābar se uThā maiñ
hai terī mirī zaat kī yaktā.ī barābar
ġhā.eb se to ubhrā to mayassar se uThā maiñ
kyā jaane kahāñ jaane kī jaldī thī dam-e-fajr
sūraj se zarā pahle hī bistar se uThā maiñ
pathrāne lage the mire a.asāb koī dam
ḳhāmosh nigāhoñ ke barābar se uThā maiñ
ik aag mire jism meñ mahfūz thī 'āzar'
ḳhas-ḳhāna-e-zulmāt ke andar se uThā maiñ
Top Urdushayar.com