vo bahte dariyā kī be-karānī se Dar rahā thā
shadīd pyāsā thā aur paanī se Dar rahā thā
nazar nazar kī yaqīñ-pasandī pe ḳhush thī lekin
badan badan kī gumāñ-risānī se Dar rahā thā
sabhī ko niiñd aa chukī thī yuuñ to parī se mil kar
magar vo ik tifl jo kahānī se Dar rahā thā
larazte hoñToñ se gir paḌe the hurūf ik din
dil apne jazboñ kī tarjumānī se Dar rahā thā
luġhāt-e-jāñ se kashīd karte hue suḳhan ko
maiñ ek harf-e-ġhalat ma.ānī se Dar rahā thā
jamā huā ḳhuun hai ragoñ meñ na jaane kab se
rukā huā ḳhvāb hai ravānī se Dar rahā thā
vo be-nishāñ hai jise nishāñ kī havas thī 'āzar'
vo rā.egāñ hai jo rā.egānī se Dar rahā thā