ḳhud apnī aag meñ saare charāġh jalte haiñ
ye kis havā se hamāre charāġh jalte haiñ
jahāñ utartā hai vo māhtāb paanī meñ
vahīñ kināre kināre charāġh jalte haiñ
tamām raushnī sūraj se musta.ār nahīñ
kahīñ kahīñ to hamāre charāġh jalte haiñ
tumhārā aks hai yā āftāb kā partav
ye ḳhāl-o-ḳhad haiñ ki pyāre charāġh jalte haiñ
ajiib raat utārī ga.ī mohabbat par
hamārī āñkheñ tumhāre charāġh jalte haiñ
mirī nigāh se raushan nigār-ḳhāna-e-husn
mire lahū ke sahāre charāġh jalte haiñ
na jaane kaun sī manzil hai muntazir 'āzar'
ki rahguzar meñ sitāre charāġh jalte haiñ