maḳhfī haiñ abhī dirham-o-dīnār hamāre
miTTī se nikal ā.eñge ashjār hamāre
alfāz se khīñchī ga.ī tasvīr-e-do-ālam
āvāz meñ rakkhe ga.e āsār hamāre
zañgār kiyā jaatā hai ā.īna-e-taḳhlīq
aur naqsh chale jaate haiñ bekār hamāre
kuchh zaḳhm dikhā saktā hai ye rauzan-e-dīvār
kuchh bhed batā saktī hai dīvār hamāre
kyuuñ chaar anāsir raheñ pāband-e-shab-o-roz
āzād kiye jaa.eñ giraftār hamāre
kyuuñ shaam se vīrān kiyā jaatā hai ham ko
kyuuñ band kiye jaate haiñ bāzār hamāre
kyā aap se ab saḳhtī-e-be-jā kī shikāyat
jab aap hue mālik-o-muḳhtār hamāre
tahsīn-talab rahte haiñ tā-umr ki 'āzar'
paidā hī nahīñ hote taraf-dār hamāre