lamha lamha vus.at-e-kaun-o-makāñ kī sair kī
aa gayā so ḳhuub maiñ ne ḳhāk-dāñ kī sair kī
ek lamhe ke liye tanhā nahīñ hone diyā
ḳhud ko apne saath rakkhā jis jahāñ kī sair kī
tujh se mil kar aaj andāza huā hai zindagī
pahle jitnī kī vo goyā rā.egāñ kī sair kī
niiñd se jaage haiñ koī ḳhvāb bhī dekhā hai kyā
dekhā hai to boliye shab-bhar kahāñ kī sair kī
thak gayā thā maiñ badan meñ rahte rahte ek din
bhaag niklā aur jā kar āsmāñ kī sair kī
yaad hai ik ek gosha naqsh hai dil par hanūz
sair to vo hai jo shahr-e-dil-barāñ kī sair kī
phuul hairat se hameñ dekhā kiye vaqt-e-visāl
gul-badan ke saath 'āzar' gulistāñ kī sair kī