Dilawar Ali Aazar

manzar se udhar KHwab ki paspai se aage

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
manzar se udhar ḳhvāb kī paspā.ī se aage
maiñ dekh rahā huuñ had-e-bīnā.ī se aage
ye 'qais' kī masnad hai so zebā hai usī ko
hai ishq sarāsar mirī dānā.ī se aage
shāyad mire ajdād ko mālūm nahīñ thā
ik baaġh hai is dasht kī ra.anā.ī se aage
sab dekh rahī thī pas-e-dīvār thā jo kuchh
thī chashm-e-tamāshā.ī tamāshā.ī se aage
ham qāfiya-paimā.ī ke chakkar meñ paḌe haiñ
hai sinf-e-ġhazal qāfiya-paimā.ī se aage
ik din jo yūñhī parda-e-aflāk uThāyā
barpā thā tamāshā koī tanhā.ī se aage
mujh kāġhzī kashtī pe nazar kījiye 'āzar'
baḌhtī hai jo lahroñ kī tavānā.ī se aage
Top Urdushayar.com