saat dariyāoñ kā paanī hai mire kuuze meñ
band ik taaza kahānī hai mire kuuze meñ
tum use paanī samajhte ho to samjho sāhab
ye samundar kī nishānī hai mire kuuze meñ
mere aabā ne javānī meñ mujhe sauñpā thā
mere aabā kī javānī hai mire kuuze meñ
dekhne vaalo na.e naqsh mileñge tum ko
sochne vaalo girānī hai mire kuuze meñ
jaane kis ḳhaak se ye zarf huā hai ta.amīr
jaane kis ghaaT kā paanī hai mire kuuze meñ
aan kī aan guzartā hai zamāna is par
vaqt kī naql-e-makānī hai mire kuuze meñ
chāroñ samtoñ meñ koī shai bhī agar hai maujūd
is ne vo lā ke girānī hai mire kuuze meñ
qarz hai mujh pe jo ik aks-e-tamannā 'āzar'
us ne kyā shakl banānī hai mire kuuze meñ