Dilawar Ali Aazar

mumkin hai ki milte koi dam donon kinare

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
mumkin hai ki milte koī dam donoñ kināre
ik mauj ke muhtāj the ham donoñ kināre
yuuñ aañkh jhapaktā nahīñ bahtā huā paanī
manzar meñ na ho jaa.eñ baham donoñ kināre
ābād hamesha hī rahegā ye samundar
rakhte haiñ machheroñ kā bharam donoñ kināre
tā-umr kisī maja-e-ḳhush-rau kī havas meñ
bedār rahe dam hama-dam donoñ kināre
khultī hai yahāñ aa ke mire ḳhvāb kī vus.at
hote haiñ mirī aañkh meñ zam donoñ kināre
ye fāsla miTTī se kabhī tai nahīñ hogā
dariyā kī haiñ vus.at pe qasam donoñ kināre
sab sair ko nikleñge sar-e-sāhil-e-har-ḳhvāb
sayyāhoñ ke chūmeñge qadam donoñ kināre
kashtī kī tarah umr ḳhizar-gīr hai 'āzar'
hastī ke haiñ maujūd-o-adam donoñ kināre
Top Urdushayar.com