banā rahā thā koī aab o ḳhaak se kuchh aur
uThā liyā phir achānak hī chaak se kuchh aur
jalā ke baiTh gayā maiñ vo āḳhirī tasvīr
to naqsh ubharne lage us kī raakh se kuchh aur
bas apne aap se kuchh der ham-kalām raho
nahīñ hai fā.eda hijr o firāq se kuchh aur
hamārī faal hamāre hī haath se niklī
banā hai zā.icha par ittifāq se kuchh aur
vahī sitāra-numā ik charāġh hai 'āzar'
mirā ḳhayāl thā niklegā taaq se kuchh aur