Dilawar Ali Aazar

main surKH phul ko chhu kar palaTne wala tha

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
maiñ surḳh phuul ko chhū kar palaTne vaalā thā
vo jazb thā ki mirā jism kaTne vaalā thā
us ek rañg se paidā huī ye qaus-e-quzah
vo ek rañg jo manzar se ha.Tne vaalā thā
mire qarīb hī ik taaq meñ kitābeñ thiiñ
magar ye dhyān kahīñ aur baTne vaalā thā
ajiib shaan se utrī thī dhuup ḳhvāhish kī
maiñ apne saa.e se jaise lipaTne vaalā thā
tavīl guftugū hotī rahī sitāroñ se
nigār-ḳhāna-e-hastī ulaTne vaalā thā
zamīñ pe āmad-e-ādam kā shor barpā huā
vagarna rizq farishtoñ meñ baTne vaalā thā
ḳhudā kā shukr hai nashsha utar gayā merā
ki maiñ subū meñ samundar ulaTne vaalā thā
lapak rahī thī koī aag is taraf 'āzar'
maiñ us se duur bahut duur ha.Tne vaalā thā
Top Urdushayar.com