ajiib rañg ajab haal meñ paḌe hue haiñ
ham apne ahd kī pātāl meñ paḌe hue haiñ
suḳhan-sarā.ī koī sahl kaam thoḌī hai
ye log kis liye janjāl meñ paḌe hue haiñ
uThā ke haath pe duniyā ko dekh saktā huuñ
sabhī nazāre bas ik thaal meñ paḌe hue haiñ
jahāñ bhī chāhūñ maiñ manzar uThā ke le jā.ūñ
ki ḳhvāb dīda-e-amvāl meñ paḌe hue haiñ
maiñ shaam hote hī gardūñ pe Daal aatā huuñ
sitāre lipTī huī shaal meñ paḌe hue haiñ
vo tū ki apne ta.iiñ kar chukā hameñ takmīl
ye ham ki fikr-e-ḳhad-o-ḳhāl meñ paḌe hue haiñ
isī liye ye vatan chhoḌ kar nahīñ jaate
ki ham tasavvur-e-'iqbāl' meñ paḌe hue haiñ
savāb hī to nahīñ jin kā phal milegā mujhe
gunāh bhī mire a.amāl meñ paḌe hue haiñ
tamām aks mirī dastaras meñ haiñ 'āzar'
ye aa.ine mirī timsāl meñ paḌe hue haiñ