Dilawar Ali Aazar

kuchh bhi nahin hai KHak ke aazar se pare

Dilawar Ali Aazar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1984
kuchh bhī nahīñ hai ḳhaak ke āzār se pare
dekhā hai maiñ ne bār-hā us paar se pare
ik naqsh khīñchtā hai mujhe ḳhvāb se udhar
ik dā.era banā huā parkār se pare
yā-rab nigāh-e-shauq ko vus.at nasīb ho
merī nazar pe baar hai dīvār se pare
tum ḳhud hī dāstān badalte ho daf.atan
ham varna dekhte nahīñ kirdār se pare
kuchh lafz jin ko ab koī tartīb chāhiye
guzre hue ḳhayāl ke iz.hār se pare
'āzar' ab un kā nām-o-nishāñ mil nahīñ rahā
uḌtā huā ġhubār hai kohsār se pare
Top Urdushayar.com