laale paḌe haiñ jaan ke jiine kā ehtimām kar
jin meñ ho kaif-e-zindagī bahr-e-ḳhudā vo kaam kar
taur-e-hayāt se uḌā jazba-e-zīstan kī aag
jab kahīñ jā ke niyat-e-zindagī davām kar
pahle ye soch daam ke toḌne kī sakat bhī hai
baad ko dil meñ ḳhvāhish-e-dāna-e-zer-e-dām kar
tujh ko tirī hī aañkh se dekh rahī hai kā.enāt
baat ye raaz kī nahīñ apnā ḳhud ehtirām kar
haif samajh rahā hai tū apnī jhijak ko mohtasib
mai-kada-e-hayāt meñ shauq se mai-ba-jām kar
naqsh-navī nahīñ hai tū safha-e-rozgār par
miTne se gar nahīñ mafar miT hī ke apnā naam kar
banda-e-ḳhvāhishāt ko kahtā hai kaun abd-e-hur
chāhiye hurriyat agar dil ko 'amīñ' ġhulām kar