Hafeez Jalandhari

kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
kyuuñ hijr ke shikve kartā hai kyuuñ dard ke rone rotā hai
ab ishq kiyā to sabr bhī kar is meñ to yahī kuchh hotā hai
āġhāz-e-musībat hotā hai apne hī dil kī shāmat se
āñkhoñ meñ phuul khilātā hai talvoñ meñ kāñTe botā hai
ahbāb kā shikva kyā kījiye ḳhud zāhir o bātin ek nahīñ
lab uupar uupar hañste haiñ dil andar andar rotā hai
mallāhoñ ko ilzām na do tum sāhil vaale kyā jaano
ye tūfāñ kaun uThātā hai ye kashtī kaun Dubotā hai
kyā jāniye ye kyā kho.egā kyā jāniye ye kyā pā.egā
mandir kā pujārī jāgtā hai masjid kā namāzī sotā hai
ḳhairāt kī jannat Thukrā de hai shaan yahī ḳhuddārī kī
jannat se nikālā thā jis ko tū us aadam kā potā hai
Top Urdushayar.com