Hafeez Jalandhari

maston pe ungliyan na uThao bahaar mein

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
mastoñ pe uñgliyāñ na uThāo bahār meñ
dekho to hosh hai bhī kisī hoshyār meñ
kuchh mohtasib kā ḳhauf hai kuchh shaiḳh kā lihāz
piitā huuñ chhup ke dāman-e-abr-e-bahār meñ
vo sāmne dharī hai surāhī bharī huī
donoñ jahāñ haiñ aaj mire iḳhtiyār meñ
allāh baat kyā hai ki dīvāngī mirī
dīvāngī nahīñ nazar-e-hoshiyār meñ
jhūTī tasalliyoñ se na bahlāo jaao jaao
jaao ki tum nahīñ ho mire iḳhtiyār meñ
huuñ vādī-e-hayāt meñ is tarah sust-e-gām
jaise ho pā-shikasta koī ḳhār-zār meñ
ab vo sukūn-e-yās na vo iztirāb-e-shauq
siine meñ dil hai yā koī lāsha mazār meñ
ab ḳhaak uḌā.iye na hamāre mazār kī
ab ḳhaak bhī nahīñ hai hamāre mazār meñ
tanhā.ī-e-firāq meñ ummīd bār-hā
gum ho ga.ī sukūt ke hañgāma-zār meñ
vo andalīb-e-gulshan-e-ma.anī huuñ maiñ 'hafīz'
soz-e-suḳhan se aag lagā duuñ bahār meñ
Top Urdushayar.com