kabhī zamīñ pe kabhī āsmāñ pe chhā.e jā
ujāḌne ke liye bastiyāñ basā.e jā
ḳhizar kā saath diye jā qadam baḌhā.e jā
fareb khaa.e hue kā fareb khaa.e jā
tirī nazar meñ sitāre haiñ ai mire pyāre
uḌaa.e jā tah-e-aflāk ḳhaak uḌaa.e jā
nahīñ itāb-e-zamāna ḳhitāb ke qābil
tirā javāb yahī hai ki muskurā.e jā
anāḌiyoñ se tujhe khelnā paḌā ai dost
sujhā sujhā ke na.ī chaal maat khaa.e jā
sharāb ḳhum se diye jā nasha tabassum se
kabhī nazar se kabhī jaam se pilā.e jā